Rasikh Azimabadi

dil zulf-e-butan mein hai giraftar hamara

Rasikh Azimabadi

Patna, Bihar, India

1757-1823
dil zulf-e-butāñ meñ hai giraftār hamārā
is daam se hai chhūTnā dushvār hamārā
bāzār-e-jahāñ meñ haiñ ajab jins-e-zabūñ ham
koī nahīñ ai vaa.e ḳharīdār hamārā
thī dāvar-e-mahshar se tavaqqo so tujhe dekh
vo bhī na huā haa.e taraf-dār hamārā
kyūñkar na dam-e-sard bhareñ ham ki har ik se
miltā hai bahut garm kuchh ab yaar hamārā
tujh bin use ye samjheñ ki hai shola-e-dozaḳh
gar ho gul-e-jannat gul-e-dastār hamārā
'rāsiḳh' ye pas-e-marg bhī hamrāh rahegā
hai yaar kā ġham yār-e-vafādār hamārā
Top Urdushayar.com