kyā karegā jā ke baitullāh tū
dil hī se kar apnī paidā raah tū
Duub jā bahr-e-amīq-e-ishq meñ
yuuñ na hargiz le sakegā thaah tū
ghar se niklegā vo apnī raat ko
mat nikaliye dekhiyo ai maah tū
ka.aba Dah jaave to ban saktā hai phir
dekhiye dil hai ise mat Dhaah tū
hāl-e-dil thoḌā sā sun kar bol uThā
bas ab is qisse ko kar kotāh tū
yaar ke dil tak asar ke saath jā
āsmāñ tak jā na jā ai maah tū
vājibutta.azīr hai 'rāsiḳh' pa haif
qadr se us kī nahīñ āgāh tū