mushtāq haiñ ushshāq tirī bāñkī adā ke
zaḳhmī haiñ mohibbāñ tirī shamshīr-e-jafā ke
har pech meñ chīre ke tire lipTe haiñ āshiq
aalam ke dilāñ band haiñ tujh band-e-qabā ke
larzāñ hai tire dast age panja-e-ḳhurshīd
tujh husn age maat malā.ek haiñ samā ke
tujh zulf ke halqe meñ hai dil be-sar o be-pā
Tuk mehr karo haal upar be-sar-o-pā ke
tanhā na 'valī' jag munīñ likhtā hai tire vasf
daftar likhe aalam ne tirī mad.h-o-sanā ke