ġhaflat meñ kaTī umr na hushyār hue ham
sote hī rahe aah na bedār hue ham
ye be-ḳhabarī dekh ki jab ham-safar apne
kosoñ ga.e tab aah ḳhabar-dār hue ham
sayyād hī se pūchho ki ham ko nahīñ mālūm
kyā jāniye kis tarah giraftār hue ham
thī chashm ki tū rahm karegā kabhū so haa.e
ġhussa ke bhī tere na sazā-vār hue ham
aatā hī na us kūche se tābūt hamārā
dafn āḳhir usī ke pas-e-dīvār hue ham
zaḳhm-e-kuhan apnā huā nāsūr pe 'rāsiḳh'
marham ke kisū se na talabgār hue ham