Rasikh Azimabadi

shaiKH-e-haram us but ka parastar hua hai

Rasikh Azimabadi

Patna, Bihar, India

1757-1823
shaiḳh-e-haram us but kā parastār huā hai
but-ḳhāna-nashīñ bāñdh ke zunnār huā hai
har harf pe do aañsū Tapak paḌte haiñ ai vaa.e
ḳhat yaar ko likhnā hameñ dushvār huā hai
kotah na samajh āh-e-zaīfān ko ye tiir
sau baar dil-e-arsh se bhī paar huā hai
ai said-fagan ġham se tire duurī ki merā
har zaḳhm-e-dil ik dīda-e-ḳhūñ-bār huā hai
hastī tirī parda hai uThā de ise ġhāfil
kyuuñ aisā hijāb-e-ruḳh-e-dildār huā hai
aage tire thī garm-e-suḳhan hone kī hasrat
so bharnā dam-e-sard bhī dushvār huā hai
kar qadr tū 'rāsiḳh' kī ki is tarah kā āzād
yuuñ daam meñ aa tere giraftār huā hai
Top Urdushayar.com