terī nazroñ se yaar utar jā.ūñ
is se behtar ye hai ki mar jā.ūñ
maiñ bhī ab kyā karūñ ai mere raqīb
merī fitrat nahīñ ki Dar jā.ūñ
gar tū dastār maañg le mujh se
tere qadmoñ meñ de ke sar jā.ūñ
phir koī aur hī banūñ āḳhir
TuuT jā.ūñ to is qadar jā.ūñ
tū bhī be-shak nazar ghumā lenā
maiñ agar pher kar nazar jā.ūñ
tū mujhe chhoḌ kar nahīñ jaanā
maiñ tujhe chhoḌ kar agar jā.ūñ
upar upar to paar jā na sakā
sochtā huuñ bhañvar bhañvar jā.ūñ
haath ḳhālī haiñ chashm tar hai merī
ab tū hī bol kaise ghar jā.ūñ
yuuñ mo.attar karūñ fazā 'nāyāb'
ḳhushbuoñ kī tarah bikhar jā.ūñ