is dil se mire ishq ke armāñ ko nikālo
tahrīr se aurāq-e-pareshāñ ko nikālo
mumkin hai tahī kar do mujhe har kisī shai se
mumkin ho agar dil se is īmāñ ko nikālo
gar duur talak baab ke imkān nahīñ haiñ
dīvār meñ ik rauzan-e-zindāñ ko nikālo
jis ko hai bharam aaj bhī paimān-e-vafā kā
siine se mire us dil-e-nādāñ ko nikālo
patjhaḌ meñ bhī har gul pe bahār aa.e yaqīnan
gulshan se agar mausam-e-hijrāñ ko nikālo
tab jā ke lagā pāoge dil apnā ḳhizāñ se
pahle to is ummīd-e-bahārāñ ko nikālo
tanhā.ī chalī aa.e khulā jaan ke ik dar
palkoñ se agar yaad ke darbāñ ko nikālo
sahrāoñ meñ phir duur talak saaf hai manzar
āñkhoñ se agar ret ke tūfāñ ko nikālo
āshufta-saroñ par bhī nazar jā.egī 'nāyāb'
gardan se agar sar-ba-garebāñ ko nikālo