Nitin Nayab

log sab qimti poshak pahan kar pahunche

Nitin Nayab

Aligarh, Uttar pradesh, India

1981
log sab qīmtī poshāk pahan kar pahuñche
aur ham jāma-e-sad-chāk pahan kar pahuñche
motiyoñ vaalī qabā vaale ḳhudā ke ghar tak
jism par pairāhan-e-ḳhāk pahan kar pahuñche
pāgaloñ jañg bagūloñ se chhiḌī thī aur tum
apne tan par ḳhas-o-ḳhāshāk pahan kar pahuñche
bazm-e-shādī ko na lag jaa.e burī koī nazar
is liye dāman-e-gam-nāk pahan kar pahuñche
haq-bayānī kā uThāyā thā jo zimma ham ne
is liye lahja-e-be-bāk pahan kar pahuñche
yuuñ to pahuñche the ḳhushī oḌh ke mahfil meñ tirī
ghar talak dīda-e-namnāk pahan kar pahuñche
ek din vo bhī nasheboñ meñ mileñge 'nāyāb'
arsh tak jo kabhī aflāk pahan kar pahuñche
Top Urdushayar.com