manzil ke us usuul ko rusvā nahīñ kiyā
raste se lauTne kā irāda nahīñ kiyā
dil ko gudāz bhī rakhā to ehtiyāt se
kar to liyā yaqīn par itnā nahīñ kiyā
ham ko bhī phir umiid kuchh aisī nahīñ rahī
achchhā huā jo tū ne bhī va.ada nahīñ kiyā
fāqa-kashī meñ yuuñ to ka.ī rahm-dil mile
kaae hī ham ne apnā kushāda nahīñ kiyā
ye bhī to kam nahīñ hai kī ham ne koī gunāh
ik baar ho gayā to dobāra nahīñ kiyā
sahrā-navard kā hameñ raas aa gayā laqab
jab us ne apne naam ko dariyā nahīñ kiyā
bachchoñ muaaf karnā kī tum khaao baiTh kar
maiñ ne tumhāre vāste itnā nahīñ kiyā
tū hī batā maiñ kaise karūñ mutma.in tujhe
aisā nahīñ kiyā kabhī vaisā nahīñ kiyā
'nāyāb' tere sar kī qasam is jahān ne
karne ko ham se jo bhī kahā thā nahīñ kiyā