Nitin Nayab

main agar kar dun raqam josh-e-junun kaghaz par

Nitin Nayab

Aligarh, Uttar pradesh, India

1981
maiñ agar kar duuñ raqam josh-e-junūñ kāġhaz par
lafz ban ban ke Dhale dil kā ye ḳhuuñ kāġhaz par
kyā ḳhabar kaun se harfoñ ko milāte hoñge
kabhī likkhā hī nahīñ ham ne sukūñ kāġhaz par
tai-shuda hai kī tamām-umr badan uTh na sake
maiñ kabhī likh duuñ agar sar ko nigūñ kāġhaz par
TuuT ke phir to adū ke kahīñ kaam aate haiñ
jab bhī chaltā hai mohabbat kā fusūñ kāġhaz par
us ne jab bāġh-e-nihāñ ko nihāñ rakkhā gulzār
ham ne bhī sabz rakhā dasht-e-darūñ kāġhaz par
mujh se barham hai falak itnī sī ḳhvāhish pe mirī
toḌ kar ek sitāre ko rakhūñ kāġhaz par
ab yahī kaam hai tasvīr-numā.ī terī
aur phir pahroñ tujhe taktā rahūñ kāġhaz par
jū-e-ḳhūñ āñkhoñ talak aane lagī thī so mujhe
kaaT kar rakhnā paḌā zaḳhm-e-darūñ kāġhaz par
kuchh haqīqat ke bhī lafzoñ ko jagah do 'nāyāb'
likhte rahte ho bhalā karb hī kyuuñ kāġhaz par
Top Urdushayar.com