jab tujh araq ke vasf meñ jaarī qalam huā
aalam meñ us kā naañv javāhar-raqam huā
nuqte pe tere ḳhaal ke bāñdhā hai jin ne dil
vo dā.ere meñ ishq ke sābit-qadam huā
tujh fitrat-e-buland kī ḳhūbī kuuñ likh qalam
mash.hūr jag ke biich atārad-e-raqam huā
tāqat nahīñ ki hashr meñ hove vo dād-ḳhvāh
jis be-gunah pe terī nigah suuñ sitam huā
be-minnat-e-sharāb huuñ sarshār-e-imbisāt
tujh nain kā ḳhayāl mujhe jām-e-jam huā
jin ne bayāñ likhā hai mire rañg-e-zard kā
us kuuñ ḳhitāb ġhaib suuñ zarrīñ-raqam huā
shohrat huī hai jab se tire sher kī 'valī'
mushtāq tujh suḳhan kā arab tā ajam huā