sozish-e-ġham ba-rū-e-kār aa.ī
aah bhī lab pe sho.ala-bār aa.ī
chashm-e-giryāñ kī ābyārī se
dil ke dāġhoñ pe phir bahār aa.ī
dast-e-vahshat kī kār-farmā.ī
tā-ba-dāmān-e-tār-tār aa.ī
tere dīvāne kyā bhalā jāneñ
kab ḳhizāñ aa.ī kab bahār aa.ī
kasmapursī kā uf-re ye aalam
yaad ham ko jafā-e-yār aa.ī
dekho vo chhā.ī uudī uudī ghaTā
mai-gusāroñ kī ġham-gusār aa.ī
sū-e-gulshan jo aaj aa nikle
yaar kī yaad baar baar aa.ī
bhīnī bhīnī kisī badan kī mahak
bū-e-gesū-e-mushk-bār aa.ī
ġhuncha o gul kā dekh kar jauban
yād-e-mahbūb-e-gul-azār aa.ī
hai javānī ḳhud apnī mashshāta
husn ko kis qadar nikhār aa.ī
'ḳhār' ulfat kī baat jaane do
zindagī kis ko sāzgār aa.ī