Khar Dehlavi

hum ko mahrum-e-karam uski jafa ne rakkha

Khar Dehlavi

Lahore, Punjab, Pakistan

1916
ham ko mahrūm-e-karam us kī jafā ne rakkhā
ziist se tañg kisī tañg qabā ne rakkhā
sach to ye hai ki duā ne na davā ne rakkhā
ham ko zinda tire dāman kī havā ne rakkhā
husn vaale to bahut aur haiñ duniyā meñ magar
un ko yakta-e-zamāñ un kī adā ne rakkhā
hasrat-e-dīd na sharminda-e-takmīl huī
tere jalvaoñ ne kahāñ hosh Thikāne rakkhā
zulm chup ho ke saheñ aise to majbūr na the
ham ko lāchār magar terī razā ne rakkhā
rāh-e-ulfat meñ bahut aa.e maqām-e-laġhzish
shukr-sad-shukr bharam merā vafā ne rakkhā
bas hamīñ tak raheñ mahdūd jafā.eñ un kī
lutf itnā to ravā ahl-e-jafā ne rakkhā
rāsta rok liyā fart-e-nazākat ne kabhī
paas aa.e to unheñ duur hayā ne rakkhā
kabhī dāmān-o-girebāñ se ulajhte rahe haath
dard-e-dil ne kabhī masrūf duā ne rakkhā
yaad aate rahe be-tarah mo.attar gesū
aaj bechain bahut bād-e-sabā ne rakkhā
'ḳhār' dushman ne to ilzām tarāshe kyā kyā
surḳh-rū mujh ko magar merī vafā ne rakkhā
Top Urdushayar.com