Khar Dehlavi

haijaan mein talash-e-sukun kar raha hun main

Khar Dehlavi

Lahore, Punjab, Pakistan

1916
haijān meñ talāsh-e-sukūñ kar rahā huuñ maiñ
yuuñ apne ġham ko aur fuzūñ kar rahā huuñ maiñ
vo sun rahe haiñ aur tabassum hai zer-e-lab
un se bayān hāl-e-zabūñ kar rahā huuñ maiñ
ab is se baḌh ke aur ho vahshat kā kyā subūt
tālīf nusḳha-hā-e-junūñ kar rahā huuñ maiñ
ik dushman-e-vafā se baḌhā.ī hai rasm-o-rāh
ḳhud apnī ārzūoñ kā ḳhuuñ kar rahā huuñ maiñ
ab vādi-e-junūñ meñ qadam rakh chukā hai ishq
tash.hīr-e-dāġh-hā-e-darūñ kar rahā huuñ maiñ
mas.hūr ho rahe haiñ vo sun kar mirā kalām
dam un pe jaise koī fusūñ kar rahā huuñ maiñ
ma.abūd hai vo bas mirā matlūb hī nahīñ
sajda us āstāne pe yuuñ kar rahā huuñ maiñ
shāyad ki āb-e-teġh hī āb-e-hayāt ho
hadd-e-adab se ḳhud ko barūñ kar rahā huuñ maiñ
siina bhī merā haath bhī mere tumheñ ġharaz
zad-kūb apne siina ko kyuuñ kar rahā huuñ maiñ
chupke se sah rahā huuñ sitam tere bevafā
merī ḳhatā to jab ho ki chuuñ kar rahā huuñ maiñ
zo.am-e-ḳhudī meñ jis pe na jaane kā ahd thā
us dar pe 'ḳhār' sar ko nigūñ kar rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com