Khar Dehlavi

is qadar uski mudaraat hai virane mein

Khar Dehlavi

Lahore, Punjab, Pakistan

1916
is qadar us kī mudārāt hai vīrāne meñ
koī to baat hai āḳhir tire dīvāne meñ
faiz-e-sāqī se jo mahrūm haiñ mai-ḳhāne meñ
jaane kyā ham se ḳhatā ho ga.ī anjāne meñ
vaqt kī baat hai ab us ke taraste haiñ lab
''jitnī ham chhoḌ diyā karte the paimāne meñ''
maiñ ne maanā ki adū bhī tirā shaidā.ī hai
farq hotā hai fidā hone meñ mar jaane meñ
dilrubā.ī ke jise ham ne sikhā.e andāz
jān-e-mahfil hai vahī ġhair ke kāshāne meñ
har adā dil ke liye dashna-o-ḳhanjar hai magar
aur hī baat hai zālim tire sharmāne meñ
na tasallī na tashaffī na koī pyaar kī baat
tujh ko kyā miltā hai kāfir hameñ taḌpāne meñ
sāqiyā mai jo nahīñ baaqī to talchhaT hī sahī
Daal de nām-e-ḳhudā thoḌī sī paimāne meñ
merī jānib se tire dil meñ ġhubār aa hī gayā
āḳhirash aa hī gayā ġhair ke bhaḌkāne meñ
ishq kī aag sivā kis meñ hai ye kaun kahe
sham.a ke sīna-e-sozāñ meñ ki parvāne meñ
'ḳhār' hai jalva-e-asnām se dil ḳhuld-e-barīñ
yā parī-zādoñ kā majma.a hai parī-ḳhāne meñ
Top Urdushayar.com