usī kī dāstāneñ haiñ usī kī qissa-ḳhvānī hai
vo lutf-e-ḳhās jo mujh par tirā ai yār-e-jānī hai
na jā zālim abhī to tishna-e-dīdār haiñ āñkheñ
zarā dam le abhī to dāstān-e-ġham sunānī hai
mohabbat zulf kā aaseb jaadū hai nigāhoñ kā
mohabbat fitna-e-mahshar balā-e-nā-gahānī hai
bujhī hasrat kā nauha hai dil-e-marhūm kā mātam
ba-alfāz-e-digar ye sher-ḳhvānī soz-ḳhvānī hai
gharānā hai hamārā 'dāġh' kā ham dillī vaale haiñ
zamāne meñ musallam 'ḳhār' apnī ḳhush-bayānī hai