Khar Dehlavi

wahi hai nafs-e-mazmun sirf tadbiren badalti hain

Khar Dehlavi

Lahore, Punjab, Pakistan

1916
vahī hai nafs-e-mazmūñ sirf tadbīreñ badaltī haiñ
huzūr-e-dost kyā kyā apnī taqrīreñ badaltī haiñ
ye nagrī husn vāloñ kī ajab nagrī hai ai hamdam
ki is nagrī meñ aahoñ kī bhī tāsīreñ badaltī haiñ
na itrā ai dil-e-nādāñ kisī ke ahd-o-paimāñ par
ki qaul o fel kyā logoñ kī tahrīreñ badaltī haiñ
ḳhudā.ī kā agar karte haiñ da.avā but nahīñ bejā
nigāh-e-lutf se dekheñ to taqdīreñ badaltī haiñ
koī saffāk jab dīdoñ meñ diide Daal detā hai
to dil se dil nahīñ ulfat kī jāgīreñ badaltī haiñ
kisī kāfir ke yaad aate haiñ andāz-o-adā jis dam
nazar ke sāmne kitnī hī tasvīreñ badaltī haiñ
kisī par barq girtī hai koī chaḌhtā hai suulī par
ba-qadar-e-zauq-e-mujrim 'ḳhār' ta.azīreñ badaltī haiñ
Top Urdushayar.com