dekhtā rahtā huuñ maiñ terī ġhazālī āñkheñ
dekh to tū bhī zarā merī savālī āñkheñ
chashm-e-āhū se na nargis se hai tashbīh durust
haiñ misāl aap hī vo apnī nirālī āñkheñ
barhamī husn ko kuchh aur jilā detī hai
vo jamālī terā chehra vo jalālī āñkheñ
aa ke har roz tasavvur meñ banā jaatī hai
ek rañgīn sī tasvīr ḳhayālī āñkheñ
ḳhat paḌhe yā na paḌhe aa.e na aa.e vo shoḳh
'ḳhār' kyuuñ bhej na deñ dekhne vaalī āñkheñ