Ishraque Azizi

marna jina wafa haya kya hai

Ishraque Azizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1997
marnā jiinā vafā hayā kyā hai
ham se pūchho ye mudda.ā kyā hai
jo bhī hai saaf saaf bole vo
be-ḳhabar hai ḳhafā ḳhafā kyā hai
merā mahbūb hai mirā misra.a
bol ab terā qāfiya kyā hai
jis ko ham ne nichoḌ pheñkā hai
us javānī meñ ab bachā kyā hai
maiñ ne apne tabīb se pūchhā
dard vo hai to phir davā kyā hai
ham javānī talak pahuñch aa.e
yā-ilāhī ye mājrā kyā hai
tum ḳhudā.ī kā da.avā karte ho
tum ḳhudā ho to phir ḳhudā kyā hai
pahle jaañ mere lab tak aa jaa.e
phir batā.uñgā hausla kyā hai
ḳhushk lab tiin din kī fāqa-kashī
tum nā samjhoge karbalā kyā hai
naam 'ishrāq' hai 'azīzī' hai
sach batā terā naam kyā kyā hai
Top Urdushayar.com