Ishraque Azizi

tere aanchal ko dhani likh raha hun

Ishraque Azizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1997
tire āñchal ko dhānī likh rahā huuñ
tujhe maiñ rāt-rānī likh rahā huuñ
ye dard-e-dil ye aañsū zaḳhm saare
kisī kī mehrbānī likh rahā huuñ
hai mere zehn meñ jis kā tasavvur
use pariyoñ kī raanī likh rahā huuñ
kisī ko lan-tarānī lag rahī haiñ
jo bāteñ ḳhush-bayānī likh rahā huuñ
tire lab mere lab ke mā-hasal haiñ
tire sadqe javānī likh rahā huuñ
havā ko bhī kabhī maiñ kaaT dūñgā
abhī paanī pe paanī likh rahā huuñ
jalāl-ud-ddīn-akbar se na kahnā
mohabbat kī kahānī likh rahā huuñ
jise kahtī hai duniyā naukrānī
use mahloñ kī raanī likh rahā huuñ
adab se baiThiye ḳhāmosh rahiye
buzurgoñ kī nishānī likh rahā huuñ
jise 'ishrāq' jo karnā hai kar le
maiñ is duniyā ko faanī likh rahā huuñ
Top Urdushayar.com