lag ga.ī mujh ko ye kis shaḳhs kī haa.e haa.e
ek lamha bhī mujhe chain na aa.e haa.e
siskiyāñ āh-o-fuġhāñ aur maiñ kyā kyā dekhūñ
zulm itnā bhī koī mujh pe na Dhaa.e haa.e
jaam hāthoñ se pilātā hai vo har shaam ke ba.ad
kaash hoñToñ se bhī ik roz pilā.e haa.e
mere mahbūb tire ruḳh kī ziyārat ke liye
chāñd kī chāñdnī khiḌkī se bulā.e haa.e
ishq ke jurm meñ karvā ke giraftār mujhe
koī pāzeb kī jhankār sunā.e haa.e
dil churāte haiñ sabhī din ke ujāle meñ magar
koī rātoñ ko mirā ḳhvāb churā.e haa.e
dāstāñ ġham kī maiñ jab jab bhī likhūñ kāġhaz par
aks us māh-jabīñ kā ubhar aa.e haa.e
sāmnā ho to churā le vo nigāheñ mujh se
duur jaa.e to ishāre se bulā.e haa.e
us kī uñglī meñ vo tāsīr ki lazzat baḳhshe
jab bhī vo chaa.e meñ uñglī ko ghumā.e haa.e
us ko maiñ dekh ke aayā huuñ to kyā dekhtā huuñ
us ke ushshāq mujhe dekhne aa.e haa.e
toḌ kar dil vo mirā jab se gayā hai 'ishrāq'
dil se har vaqt nikaltī hai sadā-e-hā.e