tirā chehra tirā husn-e-vafā kuchh aur kahtā hai
magar shīrīñ-laboñ kā zā.iqa kuchh aur kahtā hai
tujhe sab shā.iroñ ne apne apne rañg meñ Dhālā
magar merī ġhazal kā aa.ina kuchh aur kahtā hai
ajab sī kashmakash meñ huuñ zavāl-e-ishq hai lāzim
sanam kuchh aur kahtā hai ḳhudā kuchh aur kahtā hai
tirī qurbat meñ chāhat kī kashish dekhī nahīñ lekin
hamāre darmiyāñ kā fāsla kuchh aur kahtā hai
añdheroñ se nikal chal jugnuoñ se dostī kar leñ
havā kuchh aur kahtī hai diyā kuchh aur kahtā hai
hamārī raah thī rāh-e-vafā 'ishrāq' ab lekin
hamāre qāfile kā rahnumā kuchh aur kahtā hai