jo terī rāhguzar meñ chubhā thā ḳhaar mujhe
safar kī yaad dilātā hai baar baar mujhe
vo ḳhush-adā hai bahut log mujh se kahte haiñ
magar ye baat guzartī hai nāgavār mujhe
tamām-umr guzar jaa.e tujh tak aane meñ
na itnī duur se ai zindagī pukār mujhe
zamāna biit gayā mahv-e-raqs chaak pe huuñ
koī bhī shakl ho ai kūza-gar utaar mujhe
maiñ shauq-e-dīd liye aa gayā thā kūche meñ
ki chhoḌtā hī nahīñ ab tirā dayār mujhe
maiñ apne kū-e-tamannā meñ muntazir hī rahā
talāsh kartī rahī dasht meñ bahār mujhe
jafā ho yā ki vafā maiñ asīr-e-dard rahā
kisī bhī taur na aayā kabhī qarār mujhe
jab us ne toḌ diyā rishta-e-vafā 'tāriq'
to phir ye kis liye us kā hai intizār mujhe