Wali Mohammad Wali

wo sanam jab sun basa dida-e-hairan mein aa

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
vo sanam jab suuñ basā dīda-e-hairān meñ aa
ātish-e-ishq paḌī aql ke sāmān meñ aa
naaz detā nahīñ gar ruḳhsat-e-gul-gasht-e-chaman
ai chaman-zār-e-hayā dil ke gulistān meñ aa
aish hai aish ki us mah kā ḳhayāl-e-raushan
sham.a raushan kiyā mujh dil ke shabistāñ meñ aa
yaad aatā hai mujhe vo do gul-e-bāġh-e-vafā
ashk karte haiñ makāñ gosha-e-dāmān meñ aa
mauj-e-betābī-e-dil ashk meñ huī jalva-numā
jab basī zulf-e-sanam tab-e-pareshān meñ aa
nāla-o-āh kī tafsīl na pūchho mujh suuñ
daftar-e-dard basā ishq ke dīvān meñ aa
panja-e-ishq ne betāb kiyā jab suuñ mujhe
chāk-e-dil tab suuñ basā chāk-e-garebān meñ aa
dekh ai ahl-e-nazar sabza-e-ḳhat meñ lab-e-lāl
rañg-e-yāqūt chhupā hai ḳhat-e-raihān meñ aa
husn thā parda-e-tajrīd meñ sab suuñ āzād
tālib-e-ishq huā sūrat-e-insān meñ aa
shaiḳh yahāñ baat tirī pesh na jaave hargiz
aql kuuñ chhoḌ ke mat majlis-e-rindān meñ aa
dard-mandāñ ko ba-juz dard nahīñ said murād
ai shah-e-malk-e-junūñ ġham ke bayābān meñ aa
hākim-e-vaqt hai tujh ghar meñ raqīb-e-bad-ḳhū
dev muḳhtār huā mulk-e-sulaimān meñ aa
chashma-e-āb-e-baqā jag meñ kiyā hai hāsil
yūsuf-e-husn tire chāh-e-zanaḳhdān meñ aa
jag ke ḳhūbāñ kā namak ho ke namak-parvarda
chhup rahā aa ke tire lab ke namak-dān meñ aa
bas ki mujh haal suuñ ham-sar hai pareshānī meñ
dard kahtī hai mirā zulf tire kaan meñ aa
ġham suuñ tere hai tarahhum kā mahal hāl-e-'valī'
zulm ko chhoḌ sajan sheva-e-ehsān meñ aa
Top Urdushayar.com