nisbat hī kisī se hai na rakhte haiñ havāle
haañ ham ne jalā Daale haiñ rishtoñ ke qabāle
be-rūh haiñ alfāz kaheñ bhī to kaheñ kyā
hai kaun jo ma.anī ke samundar ko khañgāle
jis samt bhī jā.ūñ maiñ bikhar jaane kā Dar hai
is ḳhauf-e-musalsal se mujhe kaun nikāle
maiñ dasht-e-tamannā meñ bas ik baar ga.ī thī
us vaqt se riste haiñ mire paañv ke chhāle
be-chehra sahī phir bhī haqīqat hai haqīqat
sikka to nahīñ hai jo koī is ko uchhāle
'sarvat' ko andheroñ se Darā.egā koī kyā
vo saath liye aa.ī hai qadmoñ ke ujāle