mahsūs ho rahā hai ki duniyā simaT ga.ī
merī pasand kitne hī ḳhānoñ meñ baT ga.ī
tanhā.iyoñ kī barf pighaltī nahīñ hanūz
va.adoñ ke e'tibār kī bhī dhuup chhaT ga.ī
ham ne vafā nibhā.ī baḌī tamkanat ke saath
apne hī dam pe zinda rahe umr kaT ga.ī
daur-e-ḳhirad vo daur-e-ḳhirad hai ki kyā kaheñ
qīmat baḌhī hai fan kī magar qadr ghaT ga.ī
'sarvat' har ek rut meñ lapeTe rahī jise
vo nā-murād aas kī chādar bhī phaT ga.ī