yuuñ to kahne ko ham adū bhī nahīñ
haañ magar us se guftugū bhī nahīñ
vo to ḳhvāboñ kā shāhzāda thā
ab magar us kī justujū bhī nahīñ
vo jo ik ā.īna sā lagtā hai
sach to ye hai ki rū-ba-rū bhī nahīñ
ek muddat meñ ye huā mālūm
maiñ vahāñ huuñ jahāñ ki tū bhī nahīñ
ek baar us se mil to lo 'sarvat'
hai magar itnā tund-ḳhū bhī nahīñ