jiit kar bāzī-e-ulfat ko bhī haarā jaa.e
is tarah husn ko shīshe meñ utārā jaa.e
ab to hasrat hai ki barbād kiyā hai jis ne
us kā dīvāna mujhe kah ke pukārā jaa.e
aap ke husn kī tausīf se maqsad hai mirā
naqsh-e-fitrat ko zarā aur ubhārā jaa.e
tum hī batlāo ki jab apne hī begāne haiñ
dahr meñ apnā kise kah ke pukārā jaa.e
zehn-e-ḳhuddār pe ye baar hī ho jaatā hai
ġhair ke sāmne dāman jo pasārā jaa.e
kitnī dushvār hai pābandi-e-ā.īn-e-vafā
aah bhī lab pe agar aa.e to maarā jaa.e
shab to kaT jā.egī yādoñ ke sahāre 'vasfī'
fikr is kī hai ki din kaise guzārā jaa.e