kyā kyā supurd-e-ḳhāk hue nāmvar tamām
ik roz sab ko karnā hai apnā safar tamām
merī nazar ne luuT liye jalva-hā-e-husn
hasrat se dekhte hī rahe dīda-var tamām
tum ne to apnā kah ke mujhe luuT hī liyā
mātam-kunāñ hai mere liye ghar kā ghar tamām
maanā ki mere lab na hile ro.ab-e-husn se
rūdād-e-dil to kah hī ga.ī chashm-e-tar tamām
ab dīdanī hai aap ke bīmār-e-ġham kā haal
māyūs aa rahe haiñ nazar chāra-gar tamām
rāh-e-vafā meñ had se ham aage guzar ga.e
do-gām chal ke baiTh ga.e rāhbar tamām
chhoḌe haiñ ham ne naqsh-e-mohabbat har ik jagah
vāqif hamāre haal se haiñ bām-o-dar tamām