ġham se ghabrā ke kabhī nāla-o-fariyād na kar
izzat-e-nafs kisī haal meñ barbād na kar
dil ye kahtā hai ki de iiñT kā patthar se javāb
jo tujhe bhūle use tū bhī kabhī yaad na kar
toḌ de band-e-qafas kuchh bhī agar himmat hai
ik rihā.ī ke liye minnat-e-sayyād na kar
apne hālāt ko behtar jo banānā hai tujhe
ahd-e-rafta ko kabhī bhuul ke bhī yaad na kar
haal ko dekh samajh vaqt kī qīmat ai dost
fikr-e-fardā meñ kabhī vaqt ko barbād na kar
zindagī bantī hai kirdār se kirdār banā
muḳhtasar ziist ke lamhāt ko barbād na kar
kabhī badlā hai na badlegā mohabbat kā mizāj
ahl-e-dil hai to kisī dil ko bhī nāshād na kar
mudda.ī ilm kā hai jehl-e-murakkab lā-raib
qaul faisal hai farāmosh ye irshād na kar