dil un kī mohabbat kā jo dīvāna lage hai
ye aisī haqīqat hai jo afsāna lage hai
aalam na koī pūchhe mirī vahshat-e-dil kā
ghar apne agar jā.ūñ to vīrāna lage hai
baḌhte nahīñ kyuuñ mere qadam aage kī jānib
nazdīk hī shāyad dar-e-jānāna lage hai
vaise to kisī ne mujhe aisā nahīñ jaanā
dīvāna kahā tum ne to dīvāna lage hai
rūdād-e-alam un se jo qāsid ne bayāñ kī
farmāne lage hañs ke ye afsāna lage hai
maiñ ne to banā.ī thī faqat aap kī tasvīr
dil merā magar aaj sanam-ḳhāna lage hai
ab apnā bhī begāna nazar aatā hai 'vasfī'
begāna to begāna hai begāna lage hai