adab meñ mudda.ī-e-fan to be-shumār mile
magar na 'mīr' ke 'ġhālib' ke virsa-dār mile
junūn-e-ishq ko dāman to taar taar milā
mazā to jab hai garebāñ bhī taar taar mile
baḌe maze se guzārī hai zindagī maiñ ne
ḳhudā ke fazl se hālāt sāzgār mile
kisī ke dil pe bhalā iḳhtiyār kyā hogā
bahut hai apne hī dil par jo iḳhtiyār mile
ye kyā sitam hai ki aadā to paa.eñ hūr-o-qusūr
jo un ke chāhne vaale haiñ un ko daar mile
mire mizāj ko baḳhshā hai inkisār agar
ba-qadr-e-zarf tabī.at ko inkisār mile
har ik amal pe mukallaf banā ke farmāyā
kahīñ se dekhnā dāman na dāġh-dār mile
mirā mazāq hai ikrām-e-dostāñ 'vasfī'
vo dil hī paas nahīñ jis meñ kuchh ġhubār mile