Abdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi

koi nazr-e-gham-e-haalat na hone pae

Abdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1914-1999
koī nazr-e-ġham-e-hālāt na hone paa.e
aur har baat ho ye baat na hone paa.e
jo bhī sūrat hai ināyat hai karam hai un kā
rā.egāñ un kī ye sauġhāt na hone paa.e
un kī tasvīr se har lamha rahe rāz-o-niyāz
muntashir shān-e-ḳhayālāt na hone paa.e
saḳht dushvār hai pābandi-e-ā.īn-e-vafā
baat to jab hai tujhe maat na hone paa.e
jaan de dījiye ādāb-e-mohabbat ke liye
dekhiye ḳhāmī-e-jazbāt na hone paa.e
bazm meñ un kā koī zikr jo aa jaatā hai
hukm hotā hai mirī baat na hone paa.e
husn-e-kirdār se hastī ko sajā lo 'vasfī'
zindagī nazr-e-ḳhurāfāt na hone paa.e
Top Urdushayar.com