yuuñ ashk baraste haiñ mire dīda-e-tar se
jis tarah se sāvan kī ghaTā jhuum ke barse
haañ ashk-e-nadāmat jo gire dīda-e-tar se
vo dāman-e-isyāñ pe nazar aa.e guhar se
māhaul to badlā hai mirī jehd ne akasr
haañ maiñ nahīñ badlā kabhī māhaul ke Dar se
duniyā na kahīñ mujh ko nigāhoñ se girā de
ab itnā girā do na mujhe apnī nazar se
dekhe jo koī sāda-mizājī to ye samjhe
vāqif hī nahīñ aap kisī aib-o-hunar se
jis raah meñ guzrī hai mire sar pe qayāmat
sau baar to guzrā huuñ usī rāhguzar se
is vaqt jo guzrī hai na pūchho use 'vasfī'
Takrā.ī hai jab un kī nazar merī nazar se