Khan Janbaz

aashiq jo is gali ka bhi mar kar chala gaya

Khan Janbaz

2001
āshiq jo is galī kā bhī mar kar chalā gayā
duniyā se ek aur qalandar chalā gayā
ġhurbat kā apne haal tujhe aur kyā kahūñ
ik din to ik faqīr bhī uTh kar chalā gayā
fir.aun apne daur kā zinda hai aaj bhī
duniyā samajh rahī thī sitamgar chalā gayā
chāqū pe hai nishān kisī be-gunāh kā
qātil to haath meñ liye ḳhanjar chalā gayā
vo tinkā joḌ kar ke nasheman jo thā banā
bastī kī aag meñ vo mirā ghar chalā gayā
ummīd kar chukā thā na.e saal se bahut
ik aur zaḳhm de ke december chalā gayā
lailā se jo milā thā vo patthar liye hue
'jāñbāz' apne shahr se bāhar chalā gayā
Top Urdushayar.com