Mohammad Ali Manzar

sukut-e-sham samundar parindagan suraj

Mohammad Ali Manzar

sukūt-e-shām samundar parindagāñ sūraj
ye lamha lamha badaltā huā jahāñ sūraj
fasīl-e-shahr-e-shikasta ke miT ga.e āsār
guzishta ahd kī kahtā hai dāstāñ sūraj
samundaroñ ke safar par hue ravāna jab
hamāre saath chalā misl-e-bādbāñ sūraj
vo maujeñ mārtā dariyā yā reg-e-sahrā hai
ajiib Dhañg se letā hai imtihāñ sūraj
zamīñ pe rañg haiñ jitne sabhī isī se haiñ
hamāre sar pe chamaktā hai mehrbāñ sūraj
Top Urdushayar.com