ishq betāb-e-jāñ-gudāzī hai
husn mushtāq-e-dil-navāzī hai
ashk ḳhūnīñ suuñ jo kiyā hai vazū
maz.hab-e-ishq meñ namāzī hai
jo huā rāz-e-ishq suuñ āgāh
vo zamāne kā faḳhr-e-rāzī hai
pāk-bāzāñ suuñ yuuñ huā mafhūm
ishq mazmūn-e-pāk-bāzī hai
jā ke pahuñchī hai hadd-e-zulmat kuuñ
bas-ki tujh zulf meñ darāzī hai
tajrabe suuñ huā mujhe zāhir
naaz mafhūm be-niyāzī hai
ai 'valī' aish-e-zāhirī kā sabab
jalva-e-shāhid-e-majāzī hai