Iqbal Umar

main ki waqf-e-gham-e-dauran na hua tha so hua

Iqbal Umar

maiñ ki vaqf-e-ġham-e-daurāñ na huā thā so huā
chaak ab tak jo garebāñ na huā thā so huā
paar dil ke koī paikāñ na huā thā so huā
yuuñ kabhī dard kā darmāñ na huā thā so huā
koī va.ada koī paimāñ na huā thā so huā
itnā nādāñ dil-e-nādāñ na huā thā so huā
Dūbte rahte the har roz hazāroñ sūraj
phir bhī ashkoñ se charāġhāñ na huā thā so huā
kyā kahūñ lāla-e-pur-ḳhūñ ko ki jis ke baa.is
mushtahar jo ġham-e-insāñ na huā thā so huā
is se pahle ki tirī yaad ke bādal chhā.eñ
mujh ko andāza-e-tūfāñ na huā thā so huā
hai asar merī hī āshufta-sarī kā shāyad
vo mujhe dekh ke hairāñ na huā thā so huā
haa.e vo ek nazar lutf-o-karam se jis ke
tujh se bhī jo ġham-e-daurāñ na huā thā so huā
shukriya un ke sitam kā ki yuuñ hī ai 'iqbāl'
aaj tak mujh pe jo ehsāñ na huā thā so huā
Top Urdushayar.com