isī sabab se to ham log pesh-o-pas meñ haiñ
usī se bair bhī hai aur usī ke bas meñ haiñ
qafas meñ the to gumāñ thā khulī fazāoñ kā
khulī fazā meñ ye ehsās ham qafas meñ haiñ
ye aur baat ki ham fā.eda uThā na sakeñ
kuchh aise log hamārī bhī dastaras meñ haiñ
har ek shahr kī kaayā palaT ga.ī lekin
har ek shahr meñ baaqī purānī rasmeñ haiñ
haqīqatoñ se nigāheñ milā.iye 'iqbāl'
sunā hai aap to chālīsveñ baras meñ haiñ