ab ilāj-e-dil-e-bīmār-e-sahar ho ki na ho
zindagī sāya-e-gesū meñ basar ho ki na ho
mujh ko rakhnā hī thā ādāb-e-mohabbat kā ḳhayāl
mere shāne pe kal us shoḳh kā sar ho ki na ho
aaj har baat mirī qaul-e-ḳhudāvandī hai
kal mirī baat pe yuuñ jumbish-e-sar ho ki na ho
jaane kis moḌ pe le aa.ī mujhe umr-e-ravāñ
sochtā huuñ ye tirī rāhguzar ho ki na ho
kyuuñ na jī bhar ke ab ashkoñ se charāġhāñ kar luuñ
yuuñ koī raat phir āñkhoñ meñ basar ho ki na ho
saa.e meñ jin ke añdheroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
un charāġhoñ ko bujhā dūñgā sahar ho ki na ho
mere ġham-ḳhāne meñ aate hue ummīd kī zau
pūchhtī hai ki udhar merā guzar ho ki na ho
aaj jo kahnā ho ai husn ḳhud-ārā kah le
kal tirī bazm meñ 'iqbāl'-umar ho ki na ho