Iqbal Umar

doston mein waqai ye bahs bhi aksar hui

Iqbal Umar

dostoñ meñ vāqa.ī ye bahs bhī aksar huī
haar kis ke sar huī hai jiit kis ke sar huī
zehn be-paikar huā aur aql be-manzar huī
dil to patthar ho chukā thā aañkh bhī patthar huī
log kahte haiñ ki qadr-e-mushtarak koī nahīñ
is ḳharābe meñ to sab kī zindagī dūbhar huī
roz-o-shab aḳhbār kī ḳhabroñ se bahlātā huuñ jī
ye samajhtā huuñ ki ab to raushnī ghar ghar huī
zehn meñ aane lage phir nā-pasandīda ḳhayāl
vo kahānī kaise bhūleñ naqsh jo dil par huī
dukh-bharī āvāz suntā huuñ to hotā huuñ udaas
ye ḳhatā Thahrī to mujh se ye ḳhatā aksar huī
ik zamāne se to bas 'iqbāl' apnī zindagī
dard kā bistar huī ehsās kī chādar huī
Top Urdushayar.com