ek ik lamha ki ek ek sadī ho jaise
zindagī khel koī khel rahī ho jaise
dil dhaḌak uTThā hai tanhā.ī meñ yuuñ bhī aksar
baiThe baiThe koī āvāz sunī ho jaise
phir rahā huuñ maiñ uThā.e hue yuuñ bār-e-hayāt
mere shāne pe tirī zulf paḌī ho jaise
dil kā har zaḳhm kuchh is tarah lahak uTThā hai
rāt-bhar yādoñ kī purvā.ī chalī ho jaise
aaj kī sub.h bhī hai vaisī hī bojhal bojhal
aaj kī raat bhī āñkhoñ meñ kaTī ho jaise
jaane kis soch meñ chup baiThe haiñ yuuñ dīvāne
barf hoñToñ pe bahut din se jamī ho jaise
dil ne badlā hai is andāz se pahlū 'iqbāl'
paas hī dil ke kahīñ aag lagī ho jaise