Iqbal Umar

mausamon ki baaton tak guftugu rahi apni

Iqbal Umar

mausamoñ kī bātoñ tak guftugū rahī apnī
maiñ ne kab kahī apnī tum ne kab sunī apnī
ḳhatm hī nahīñ hote silsile savāloñ ke
silsile savāloñ ke aur ḳhāmushī apnī
ek had pe qaa.em hai ghaTtī hai na baḌhtī hai
tīrgī zamāne kī aur raushnī apnī
kuchh hasīn tasvīreñ rah ga.iiñ nigāhoñ meñ
varna kyā guzar paatī shām-e-zindagī apnī
fasl-e-gul ke hañgāme aarzī to hote haiñ
yuuñ nahīñ guzar jaate jaise zindagī apnī
kuchh udaas logoñ ne merā haal pūchhā thā
varna kaun kartā hai arz vāqa.ī apnī
is ḳhatā ne mujh ko bhī sharmsār kar Daalā
shahr ke ra.īsoñ se dostī na thī apnī
kuchh ḳhushī ke aañsū bhī ashk-e-ġham ke saath aa.e
apne jaise logoñ se jab ġhazal sunī apnī
Top Urdushayar.com