ye hausla tujhe mahtāb-e-jāñ huā kaise
ki ḳhud ko saa.e se minhā kiyā batā kaise
nazar to kyā ki ye mīnā-e-dil bhī ḳhālī hai
lagegā shahr meñ bāzār-e-ḳhūñ-bahā kaise
mujhe ḳhabar hai ki mausam nahīñ ye ḳhvāhish kā
mire laboñ pe ye Thahrā hai zā.iqa kaise
ḳhudā.ī nauha-kunāñ thī ki aaj mimbar pe
ye tujh ko aayā nazar kyā mire sivā kaise
ta.alluqāt ke tāvīz bhī gale meñ nahīñ
malāl dekhne aayā hai rāsta kaise
qafas meñ merī panāhoñ ko dekh hairāñ thā
ki mere dil meñ thā maqtal kā zā.icha kaise
havā se jaise charāġhoñ kī lau bhaḌaktī hai
bahut dinoñ meñ tujhe dekh ke hañsā kaise