Yunus Tahseen

shor se pak shab-o-roz guzare ghar mein

Yunus Tahseen

1984
shor se paak shab-o-roz guzāre ghar meñ
ham ki tarse hī rahe koī pukāre ghar meñ
ham yatīmoñ ko kahāñ aate the naḳhre karne
ya.anī jhagḌā nahīñ hotā thā hamāre ghar meñ
ham to bas ek hī kone meñ paḌe rahte the
aur mahrūmī rahā kartī thī saare ghar meñ
āyateñ kaan meñ paḌtī thiiñ sahar hone par
ham to rahte the jahāñ bhar se niyāre ghar meñ
ek mamtā thī jise ham ne ḳhudā samjhā thā
jab vo hañstī thī utarte the sitāre ghar meñ
ek hasrat ki maiñ huqqe kī chilam bhar kar duuñ
ek ḳhvāhish ki mirā baap khañkāre ghar meñ
chār-dīvārī thī ġhurbat bhī thī ya.anī 'tahsīn'
ek dīvār ziyāda thī hamāre ghar meñ
Top Urdushayar.com