ġham kī tartīb salīqe se lagā saktā thā
ya.anī maiñ roz tirā hijr manā saktā thā
sabr ne chīḳh gale se nahīñ aage bhejī
varna dīvāna bahut shor machā saktā thā
ġhairat-e-ishq ne patthar kā banāyā mujh ko
varna maiñ ḳhaak vahāñ uḌ ke bhī jā saktā thā
tañgī-e-dāman-e-sad-chāk tirā kyā ronā
maiñ numā.ish meñ faqat zaḳhm dikhā saktā thā
terī nafrat se agar thoḌī sī fursat miltī
maiñ mohabbat meñ bahut naam kamā saktā thā
aap be-kār samajh kar jise chhoḌ aa.e haiñ
ik vahī shaḳhs mirī jaan bachā saktā thā
us kī ma.asūm tabī.at kī hayā ne rokā
varna maiñ us ko baḌe ḳhvāb dikhā saktā thā
ye to us chehra-e-pur-nūr kā jaadū samjho
varna darvesh kahāñ jaal meñ aa saktā thā
yūñhī zahmat se akele mujhe barbād kiyā
zindagānī maiñ tirā haath baTā saktā thā
tum hī 'tahsīn' mirī qadr nahīñ kar paa.e
maiñ to vo thā jo gayā vaqt bhī lā saktā thā