ain mastī meñ huuñ dil duniyā se begāna hai
kyūñki ab pesh-e-nazar jalva-e-jānāna hai
hashr ke roz mulāqāt kā parvāna hai
hauz-e-kausar mire mahbūb kā mai-ḳhāna hai
chaar unsur ke tarāshe ko tū aiñvīñ na samajh
zarra zarra mirī tauqīr meñ dīvāna hai
avval avval mujhe taḳhlīq kiyā thā us ne
arsh ke nīche kā saarā mirā kāshāna hai
bāda-e-nūr ke do qatre haiñ ye raat aur din
aañkh be-ant kī gahrā.ī kā paimāna hai
jis ko fānūs meñ sho.ale kī samajh aa jaa.e
us ke aage na koī majnūñ na dīvāna hai
jism kā jism se kuchh din kā ta.alluq hogā
ruuh kā ruuh se āġhāz kā yārāna hai
vasl hī asl hai 'tahsīn' pareshāñ mat ho
hijr-e-ādam se hue jurm kā jurmāna hai