Yunus Tahseen

hijr kahte hain kise ye kya kisi se puchhna

Yunus Tahseen

1984
hijr kahte haiñ kise ye kyā kisī se pūchhnā
pūchhnā paḌ jaa.e bhī to bāñsurī se pūchhnā
bāñsurī jo ro rahī hai asl se kaTne kā dukh
asl kyā hai ye kisī darvesh hī se pūchhnā
aire-ġhaire se kabhī bhī yaar kī bābat na pūchh
us kā jab ho pūchhnā us ke valī se pūchhnā
ye bhī koī bevafā.ī hai jo apne saath hai
bevafā logoñ kā shar hazrat alī se pūchhnā
be-tukī mat pūchhnā ye jāhilāna kaam hai
martaba rakhnā hai puurī āgahī se pūchhnā
be-dilī se baat karnā guftugū kā aib hai
mast-hāloñ kī tabī.at ḳhush-dilī se pūchhnā
maut kahte haiñ jise vo hai farāvānī kā naam
rā.egānī kyā balā hai zindagī se pūchhnā
Top Urdushayar.com