mast huuñ muttaqī nahīñ huuñ maiñ
kaam kā aadmī nahīñ huuñ maiñ
mujh ko duniyā kī fikr lāhaq hai
ya.anī koī valī nahīñ huuñ maiñ
tere me.aar kā to duur kī baat
tere matlab kā bhī nahīñ huuñ maiñ
maz.hab-e-ishq kā payambar huuñ
haañ magar āḳhirī nahīñ huuñ maiñ
Dar nahīñ paas aa mire pyāre
nuur huuñ raushnī nahīñ huuñ maiñ
muqtadā huuñ maiñ roz-e-avval se
kāfirā! muqtadī nahīñ huuñ maiñ
aam se kūza-gar kā beTā huuñ
gaañv kā chaudharī nahīñ huuñ maiñ
mujh pe thoḌā sā ġhaur kar 'tahsīn'
huuñ to phir aarzī nahīñ huuñ maiñ