Yunus Tahseen

har waqt mere samne ek jalwagari hai

Yunus Tahseen

1984
har vaqt mire sāmne ik jalvagarī hai
maiñ dekh na pā.ūñ to mirī kam nazarī hai
maiñ aañkh jhapaktā huuñ to manzar nahīñ rahtā
ai husn-e-dil-āvez ajab muḳhtasrī hai
sochūñ to yahāñ kuchh bhī nahīñ dekhne qābil
dekhūñ to tirī duniyā baḌī rañg bharī hai
dukh dard yahāñ aa.eñ to vāpas nahīñ jaate
ye dil koī āseb-zada bāra-darī hai
maiñ dasht meñ aa kar bhī kahāñ chain se baiThā
yaañ par bhī vahī ishq vahī dar-ba-darī hai
pyāre mire alfāz ko to bār-e-digar dekh
ye sher nahīñ nauha-e-be-bāl-o-parī hai
ye faiz milā ishq meñ daryūza-garī se
sultānī mire naqsh-e-kaf-e-pā pe dharī hai
'tahsīn' mazāmīn-e-ġhazal aur nikālo
ye daur mohabbat kī musībat se barī hai
Top Urdushayar.com